Tuesday, May 3, 2011

2 May 2011



2 comments:

shagufta said...

Tu ney kis piyar sey tameer kiya tha gulshan,
Husn-e-Tadbeer sey tasveer kiya tha gulshan.
Doodh ki nehar nikali thi misal-e-faryaad,
Gosha-e- Aman diya aur kiya tha aazaad.

Bey bazaghat thy hamein sahib-e-amwaal kiya,
Teri tadbeer ney es qooum ko khushaal kiya.

Tery jatey hi magar qooum key baba hum ney,
Daikh es sani-e-firdous ka kiya haal kiya.

Aisey lehjain hai key shamsheer ko rona aaey,
Aisey kirdaar hain key taazeez ko rona aaey.

Apney hathoun mein utha rakhain hain khanjar sub ney,
Apney jazboun mein chupa rakhain hain nashtar sub ney.

Waaz achey hain mery aur na raahbar achey,
Bahai aisey hain key yousuf key biradar achey.

Khawaab aisey hain jinhain daikh key dar lagta hai,
Aisi tabeer hai key ujhraa hoa ghar lagta hai.

Sir qalam shakh key honey ka amal jari hai,
Aub yahan aik hi mousam ki amaldari hai.

Aisey khayalaat bhi honey thy yahan qooum key baap!
Ye kamalaat bhi honey thy yahan qooum key baap!

dot KOM said...

Us shakhs se bara munafiq nahi koi duniya mey Qateel

Jo zulm to sehta hey magar baghawat nahi kerta

ps: thanks shoaib :)
pps: i am diagnosed with blood cancer

SJ